Ek Din Achanak Part 18
Iske baad dono mein Thodi idhar udhar ki baatein huyi aur baaton baaton mein Sameer ko pata chala ki Sonali exams nahin de rahi hai. Sameer ne bahut jor dekar kisi tarah Sonali ko mana hi liya exams dene ke liye. Lekin Sonali ye soch rahi thi ki exams jab dene jayegi to Jay ka kaise saamna karegi. Iske liye abhi tak wo khud ko tayyar nahin kar payi thi.
Dono neeche aaye aur wapas usi kamre mein chale gaye jahan saare gharwale baithe huye the. Wahan jaakar Sameer ne bata diya ki use Sonali pasand hai aur wo shaadi ke liye tayyar hai. Sonali se jab poocha gaya to usne bhi apni muk sehmati de di. Halanki abhi bhi wo bahut confused thi.
Saare ghar mein khushi ka mahaul cha gaya aur ek dusre ko mithai khilayi jaane lagi. Daya ne to khushi ke maare Sonali ko apne gale se laga liya. Sonali ne bhi muskurane ki koshish ki lekin ye uska dil hi jaanta tha ki wo kis daur se gujar rahi hai. Jay ki yaaden uske dil mein itni gehri bas gayi thi ki chah kar bhi wo un yaadon se bahar nahin aa pa rahi thi.
Thodi aage ki shaadi ki planning ke baare mein baat karne ke baad Sameer ke parents apne ghar chale gaye aur idhar Sonali ke mummy papa bhi ghar mein aage ke liye tayyari kaise ki jaaye us baare mein baat karne lage.
Daya Sonali ko alag kamre mein le gayi aur usse poochne lagi ki Sameer se kya kya baatein huyi. Sonali pehle to khamosh huyi lekin jyada jor dalne par sab baatein bata di. Lekin Jay wali baat usne Daya ko nahin batayi.
Isi tarah Daya usko chedti rahi aur baatein karte karte sab kaafi late soye. Agle din Subah jaldi Sonali apne parents ke saath apne ghar wapas aa gayi. Poore raaste wo yahi baat sata rahi thi ki kal se paper shuru hain aur ab jab Jay uske na aane ka kaaran poochega to wo kya jawab degi.
Sonali ki mummy uski manodasha samajh gayi aur boli “Sonali ab tumhe us ladke ke baare mein nahin sochna chahiye. Tum kisi ki amanat ban chuki ho.” Wagairah wagairah baatein aunty Sonali ko raaste bhar samjhati rahi. Sonali bas chupchap sunti rahi aur apni sehmati jatati rahi.
Ghar pahunch kar Sonali apne kamre mein chali gayi aur bistar par girkar rone lag gayi. Uska dil bhar aaya aur aankhon mein aansu reh reh kar beh rahe the. Jay ki yaadein use sata rahi thi lekin wo kar bhi kya sakti thi. Usne apna sar jhatka aur padhai mein man lagane ki sochi. Kal ka paper tha to uski tayyari bhi karni thi. Books aur copy khol kar usne padhna shuru kiya.
Lekin padhai mein bhi uska man nahin lag raha tha. Books se school aur school se Jay ki yaadein use sata rahi thi. Usne books ko side mein rakha aur sone ki koshish karne lagi. Thodi hi der mein wo gehri neend mein chali gayi.
Is baat se bekhabar ki kal jab wo Jay ka saamna karegi to kya hoga.
Halanki subah Sonali ki neend jaldi khul gayi thi lekin phir bhi wo thoda late tayyar huyi. Ab jaisa ki aap logon ko pata hai ki board ke exams apne school mein nahin kisi doosre school mein hote hain to Sonali ka bhi cetre doosre school mein pada jo uske ghar se thoda sa door tha. Sonali ne apne papa se kaha use chod kar aane ke liye. Jaane ko to wo khud bhi ja sakti thi lekin wo Jay ka saamna nahin karna chahti thi. AB jab uske papa saath mein honge to Jay se mulakat ka matlab hi nahin.
Sonali tayyar huyi aur apne papa ke saath motorcycle par baith kar school pahunch gayi. Thoda sa late chali thi to jahir si baat hai late hi pahunchi. Entry bas band hone wali thi. Sonali andar gayi aur jis class mein paper hona tha wo dhoond kar usmein jaakar baith gayi.
Jahan Jay baitha huya tha uske ek row chodkar Sonali baithi huyi thi. Jay chahkar bhi uski taraf nahin dekh pa raha tha. Waise Sonali ne class mein entry karte waqt Jay ko dekh liya tha lekin koi react
na karte huye wo apni seat par jaakar baith gayi thi. Jay ko laga shayad Sonali ne dekha nahin. Lekin uska dil khushi se jhoom raha tha ki aakhir itne din baad Sonali ka wohi haseen chehra uski aankhon ke saamne tha.
Kai baar aisa hota hai ki sirf dekhne bhar se wo khushi haasil ho jaati hai jo milne par bhi nahin hoti. Jatin Bhai ne apni story mein bhi is baat ko khubsurti se darshaya hai. Aankhon ki bhasha sirf aur sirf aankhen hi samajh sakti hain. Bhale hi aapke dil mein kitna pyaar ho lekin aankhon ke ek ishare is baat ke kai matlab nikal jaate hain.
Teacher class mein aaye aur attendance lene ke baad sabko question paper aur answer likhne ke liye blank sheet pakda di. Sab lag gaye paper likhne mein. Sonali bhi jaise taise kuch na kuch likh rahi thi kyunki uski to tayyari bhi nahin ho payi thi lekin padhne mein tej thi jo kaafi kuch use pehle se hi aata tha. Class mein khusar-phusar shuru ho gayi thi. Koi question paper padh raha tha to koi answer sheet mein answer likh raha tha. Koi apne yahan wahan se chit nikal kar nakal karne ki koshish kar raha tha to koi aage-peeche walon se poochne ki koshish kar raha tha.
Jay ka dil khushi se jhoom raha tha kyunki jo paper wo tough samajh raha tha wo bahut easy lag raha tha use is samay. Hota hai jab khushi ka vatavaran ho charon taraf to vyakti kisi bhi kaam mein man lagaye to wo kaam use asaan hi lagta hai lekin jab gham ke badal chaye huye ho to asaan se asaan kaam ko bhi karne mein airi tak ka jor lagana padta hai. Paper asaan tha lekin lengthy tha to wo bas laga hua tha answer sheet ko bharne mein. Usne socha pehle paper kar lun fir paper khatam hone ke baad Sonali se mil hi lunga.
Sonali ki writing speed Jay se kaafi achhi thi. Jitna use aata tha usne kareeb do ghante mein poora kar liya aur apni answer sheet
examiner ko dete huye bahar chali gayi. Jay apne paper karne mein mast tha use is baat ka koi hosh hi nahin tha ki kab Sonali chali gayi. Kareeb 45 minutes ke baad Jay ka paper bhi khatam ho gaya aur usne bhi submit kar diya lekin Sonali ko wahan na paakar chaunk gaya. Usne socha shayad paper khatam karne ke baad wo uska bahar intezar kar rahi hogi. Aisa sochkar Jay bahar chala aaya. Halanki school uske liye naya tha lekin school ka kona kona aur school ke aas paas ka area usne chaan maara lekin Sonali use kahin dikhai nahin di.
Jay ko samajh mein nahin aa raha tha ki kya ho raha hai. Kya Sonali use ignore kar rahi hai? Usne aisi kaun si badi galti kar di. Agar koi galti ho gayi ho to mujhe ek mauka to do maafi maangne ke liye. “Please aise mat karo Sonali. Agar koi shikayat hai to mujhe
batao. Aisa mat tadpao mujhe, main mar jaunga.”
Shayad use lene ke liye ghar se koi aa gaya hoga. Waise bhi centre apne school ke mukable thoda door hai. Shayad uske papa aa gaye honge. Wo to waise bhi apne papa se darti hai, wo aaye honge to chupchap unke saath chali gayi hogi. Lekin uske papa aate bhi to paper khatam hone ke time par to wo kiske saath gayi hogi. Shayad uske papa uska paper khatam hone tak yahin ruke hon. Is tarah ke kai khyaal Jay ke dimaag mein ghum rahe the.
Usne socha agle exams mein usse jaroor poochunga jo do din baad hone wala tha. Agle exams mein bhi kya unki mulakat ho payegi ye Jay aur Sonali dono ko hi pata nahin tha.
Sonali paper dekar rikshe se ghar aa gayi thi. Ghar aakar kapde change kiye aur thoda rest karne lagi. Wo kuch udaas bhi thi ki Jay se baat nahin huyi aur khus bhi isi baat ko lekar thi. Kabhi use Jay ki yaad sata rahi thi to kabhi Sameer ka hansta huya chehra uski aankhon ke saamne aa raha tha.
Kachhi umar ka pyaar aisa hi hota hai. Usme paripakvata nahin hoti. Dil ko jahan khushi aur sukun milta hai wahin jhukta chala jaata hai. Sonali bhi Jay ki yaadon se nijat paa kar Sameer ke baare mein sochne ki koshish karne lagi thi.
Sonali in khyalon mein khoyi huyi hi thi ki uski mummy ne aakar kaha “Beti Sameer ka phone aaya hai aur wo tujhse baat karna
chah raha hai”. Sonali ko ummeed nahin thi Sameer ke phone ki aur chaunkte huye boli “Kya lekin use number kaise pata laga papa ke
mobile ka aur papa kya phone nahin le gaye the saath mein.”
“Nahin actually aaj wo jaldi mein ghar hi bhool gaye the. Sameer ke papa ka phone aaya tha ki unhone pandit se baat kari hai aur date ke baare mein confirm karna tha. Jab unhe pata laga ki phone ghar par hi hai to Sameer ne tumse baat karni chahi”
Sonali shaadi ki baat sunkar sharma gayi. Jo chehra abhi gham ke baadlon se bhara huya tha usme khushi ki ek lehar si daudti najar aayi. Aunty ye dekhkar bahut khush ho gayi ki Sonali ne Jay ko bhulana aur Sameer ko dil mein basana shuru kar diya hai. Sonali ne phone haath mein liya lekin baat shuru nahin ki. Usne apni mummy ki taraf dekha to Aunty hanste huye wahan se chali gayi.
Sonali: “Hello”
Sameer: “Aur kaisi hai”
Sonali: “Theek hoon. Aap bataiye”
Sameer: “Main mast. Tu suna paper ho gaya thaara”
Sonali: “haan ho gaya aur achha bhi ho gaya”
Sameer: “Badhiya aur bata ke kar rahi thi”
Sonali: “Kuch nahin bas thoda araam kar rahi thi”
Sameer: “Iska matlab mane disturb kar diya thare ko”
Sonali: “Nahin nahin aisi koi baat nahin hai. Aap kya kar rahe the”
Sameer: “Tane yaad karun tha. Tu to mhare dil mein ghani jami andar tak bas gayi se. Ke karun kisi kaam main ji na laage ib mhara. Saari raata so nahin paaya aur thaare baare mein sochta raha”
Sonali: “Kyun so nahin paaye. Aur mere baare mein kyun sochte rahe raat bhar”
Sameer: “Ib tu itni ghani suthri se to mhara ke kasoor. Sab thaari
galti hai. Mhaara ji jo chor liya tanne”
Sameer ne phir kuch sher use suna diye.
Har kyun ka koi jawab nahin hota
Har husn lajawab nahin hota
Yun to bhanwara marta hai har kali par
Magar har kali mein shabab nahin hota
Phool khilte hain baharon ka sama hota hai
Aise mausam mein hi to pyaar jawan hota hai
Dil ki baatein honton se nahin kehte
Ye fasana to nigahon se bayan hota hai.
Kisi ne dil ko is kadar chu liya
Ki hum kisi aur ko chu na sake
Hum to chale the aapko dost banane
Magar aap dhadhkan bante chale gaye.
Sonali khilkhila kar hans padi. Sach hai tareef aurat ki bahut badi kamjori hai. Uski har samay tareef karo wo aapki deewani rahegi. Yahi farak Jay aur Sameer mein tha. Jahan Sameer uski tareefon ke pul baandh raha tha wahin Jay aisa kuch nahin bolta tha. Halanki wo bhi thodi bahut tareef karta tha lekin wo mahaj ek aupcharikta lagti thi. Yahi farak Jay ke liye nuksaandayak saabit hone wala tha.
Isi tarah dono hansi majak mein baatein karte rahe aur dono ko pata hi nahin chala ki kab aadhe se ek aur ek se do ghante ho gaye. Pata to tab chala jab Sonali ki mummy ne use khane ke liye awaaz lagayi. Sonali ne Sameer se baad mein baat karne ke liye kaha aur phone kat diya. Sonali bahut khus thi aur Jay ki yaadein ek dhul bhare andhad mein kahin chup gayi thi. Sonali ne khana khaya aur Sameer se huyi baaton ko sochte sochte apne agle exams ki tayyari mein lag gayi.
Idhar Jay ka din jaise taise gujar gaya lekin raat mein Sonali ki yaad bahut satane lagi. Phone uske paas tha nahin. Aur Sonali ke ghar ka no. bhi uske paas nahin tha jo kahin bahar se phone kar leta. Phone No. to chodo use ye tak pata nahin tha ki wo rehti kahan hai. Wo apne aap ko kos raha tha ki itne samay se dono saath hai lekin use Sonali ke ghar ka pata hi nahin hai. Kam se kam ghar kahan par itni to jankaari le hi leta usse. Usne socha agle paper mein jab mulakat hogi tab pooch lega wo Sonali se.
Bas saari raat wo aise hi sochta raha aur apne aap ko kosta raha. Pyaar mein aksar aisa hota hai galti jaanbhujkar na bhi karo lekin wo galti kahin na kahin aapke saamne aa kar khadi ho hi jaati hai. Mera matlab hai Jay ne pata yaa number poochne ki kabhi koshish hi nahin ki aur yahi uski galti thi.
Idhar Jay ki soch ke upar kuch lines likh raha hun aapko shayad pasand aaye.
Har na ka matlab inkar nahin hota
Har nakamyabi ka matlab haar nahin hota
Kya hua jo tum mere saath nahin
Sirf saath rehne ka matlab hi to pyaar nahin hota.
Lekin agli mulakat kaise aur kis roop mein hogi iska andaaza Jay ko nahin tha.
To be continued....
Kareem
13-Jan-2022 08:34 PM
Great
Reply
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:25 PM
Very nice 👌
Reply
Aliya khan
02-Oct-2021 12:27 AM
Nice
Reply